SHRIMAD BHAGWAT GEETA IN HINDI ADHYAY 01 Shrimadbhagwadgeeta : Jiske vishay mein sabhi vidwan ek mat hokar kehte hain ki yah sarvshaastramai shiromani hai. jeevan jeene ki kala sikhane wali aisi pustak jiska gyan ati guhya hai, jisme parmatma ke shabdon se prateet hota ki wah prem ke sagar bhi hain to Dharmraaj bhi hain... mitra bhi hain to maargdarshak bhi hain.. dayalu bhi hain to ek kathor shikshak evam dharmraj swaroop bhi hain ... aur gyaan ke sagar to hain hi... itne apnepan aur rehamdili ke bhaaw se kahe gaye goodh gyaan ko padhkar aur sunkar apnatva hi mehsoos hota hai isiliye...